Sunday, December 27, 2009

Raat Mein Khayaalon Mein Aati Ho Tum…


Raat Mein khayaalon mein aati ho tum,
Kabhi saamne aakar bhi dekho

Ham se baatain to roz karti ho tum,
Kabhi hamaari taraf muskuraa kar bhi dekho

Hamaari nazar bahut kuch keh deti hai,
Kabhi hamain nazaron se samajh kar to dekho

Hamse dosti ka rishta hai tumara,
Kabhi ham se dil laga kar to dekho

Hamaari baaton ne tumara dil kai baar behlaya hai,
Kabhi apni baaton se hamain hasaa kar to dekho

Mujhse milkar anjaane mein dil mein basne lagti ho,
Kabhi hamain bhi apne dil mein basaa kar to dekho

Har mushkil raah be asaan ho jaayegi bas,
Ham par aik baar aitbaar kar ke to dekho

Ham tumain zindagi mein har kushi denge,
Bas ek baar ham se pyaar kar ke to dekho

Tumain paane ke liye har imtihaan denge hum,
Hamain kabhi azmaa kar to dekho

Tum kehte ho ke bahut mushkil hai mujhe apnana,
Ek baar hamain apna bana kar to dekho…

Wednesday, December 23, 2009

Mujhe bhul jaana…


Mujhe bhul jaana agar ho sake
Mat yaad karna agar ho sake
Rahe yaad kyon bhul jaane ki baat
Na kabhi aansu bahana agar ho sake
Mujhe maaf karna mere humsafar
Kahin kho gaya main tumhe kho kar
Maine tumhe gam diya hai magar
Sada muskurana agar ho sake
Mat yaad karna agar ho sake ..

uljah hai dil mera..

Dil mein dard hua hai,
pyar ke moti bikhra hai.
ikraar mein inkaar se,
rishton mein daraar se,
darta hai dil ab mera…
Kaee sawaalon mein
uljah hai dil mera..

manzil samne hai,
raasthon se waqif hai,
bas ab yah jaana hai…
ke manzil ki marzi kya hai…

Monday, October 19, 2009

Theek likha tha meray haath ki lakeeron mein

Socha tha ik zakhm hai bhar jayega
kya khabar thi rag-o-jan mein utar jayega

Theek likha tha meray haath ki lakeeron mein
Tu agar piyar karega to bikhar jayega.

Wednesday, October 7, 2009

World Favorite Comedy Shayari Collection

Naa ye CHEMISTRY hoti, na me STUDENT hota Na wo LAB hoti, na wo LOVE ACCIDENT hota

Tabhi PRACTICAL ke waqt nazar aayi ek ladki khubsurat is naak uski TEST TUBE jaisi

Uski baaton me GLUCOSE ki mithas thi ETHYL ALCOHOL is thandi uski saans thi

Andhere me wo RADIUM ki tarah chamakti thi jab aankh mili to REACTION hua, love ka PRODUCTION hua!

Fir to lagne lage uske ghar ke chakkar aise, NUCLEUS ke charo aur ELECTRON jaise

Jis din TEST ka PERFECTION tha us din uske pitaji se hamara INTRODUCTION tha

Mano IGNITION TUBE se SODIUM ke piece nikal pade wo bole hosh me aao, pehchano apni aukat IRON kabhi mil nahi sakta GOLD ke saath!

Is tarah tod diya unhone hamare armano ka BEAKER hum chup hi reh gaye BENJALDEHYDE ka ghoont pikar.

Ab unki yado ke bina hamara kaam chalta nahi hain zindagi ho gayi AB UNSATURATED CARBON ki tarah, bekar ghumte AB hum awaara HYDROGEN ki tarah

Sapno se dil lagane ki aadat nahi rahi

Sapno se dil lagane ki aadat nahi rahi,
har waqt muskurane ki aadat nahi rahi,
ye soch ke ki koi manaane nahi aayega,
ab hume rooth jaane ki aadat nahi rahi

Rishtonki Haqiqath koi kya samjhega.
Dilon ki zaroorath koi kya samjhega,
Unki muskurahat hai toh zindagi hai Hamari,
Uss muskurahat ki keemat koi kya samjhega.

Wo ankhon me ashq liye baite hai,
Hum bhi unki pyar me pagal huye baite hai,
Hum toh jaan dene ko bhi tayyar hai,
Magar woh hamari jaan bankar baite hai.

Har Subhah Teri Muskarati Rahe,
Har Shyam teri Gungunati Rahe,
DOST tu Jise se bhi Mile,
Her Milane walo Ko Teri Yaad Aati Rahe..

Zindagi Mein Kuch Lamhein Khaas Ban Gaye,
Mile To Mulakat Ban Gaye,
Bichhre To Yaad Ban Gaye,
Aur Jo Dil Se Na Gaye,Wo AAP Ban Gaye.

Aap khubsurat hain itne,
ke har shakhs ki zuban par aap hi ka tarana hai,
hum nacheez to kahan kisi ke kaabil,
aur aapka to khuda bhi diwana hai.

Is DiL Mein Aa Saka Na Koi,
Is DiL Ko Chura Saka Na Koi,
Kasoor Is Mein Kisi Ka Nahi,
Aap Jaisi Jagah DiL Mein Bana Saka Na Koi..

Zindagi Mein Kuch Lamhein Khaas Ban Gaye,
Mile To Mulakat Ban Gaye,
Bichhre To Yaad Ban Gaye,
Aur Jo Dil Se Na Gaye,Wo AAP Ban Gaye.

Aap khubsurat hain itne,
ke har shakhs ki zuban par aap hi ka tarana hai,
hum nacheez to kahan kisi ke kaabil,
aur aapka to khuda bhi diwana hai.

Is DiL Mein Aa Saka Na Koi,
Is DiL Ko Chura Saka Na Koi,
Kasoor Is Mein Kisi Ka Nahi,
Aap Jaisi Jagah DiL Mein Bana Saka Na Koi..

Saturday, August 22, 2009

Pyaar Har Waqt Pyaara Nahi Hota…

Pyaar Har Waqt Pyaara Nahi Hota
Jise Chaho Wo Hamara Nahi Hota
Kahne Ko To Saari Kaynaat Apni Hai
Magar Socho To Haqikat Mai Ek Sahara Nahi Hota
Log Kahte Hai Mahboob Ke Liye Chand Le Aayenge
Bas Mai Laane Ko Ek Tara Nahi Hota
Iss Taraf To Mohabbat Mai Tajmahal Ban Gaya
Us Taraf Se Mohabbat Ka Ek Ishara Nahi Hota
Pyaar Jindagi Mai Ek Baar Karke Dekho
To Phir Ye Duwara Nahi Hota….

Tum Piyaar Kia Kertey They…

Main Wohe Hoon JIsay Tum Pyaar Kia Kertey They
Din Main Soo Baar Mera Naam Liya Kertey They

Aaj Kya Baat Hay Kyun Mujh Say Khafa Bethey Ho
Kya Kisi Or Ko Dil Apna Bana Bethey Ho ?

Fasley Pehlay To Itney Na Hua Kertey They.
Main Woh Hoon Jisay Tum Pyaar Kia kertey They,

Mana Keh Ye Ghum Hay Koi Sougaat Nahi,
Tum Hamain Apna Kaho Aisay Bhi Halaat Nahi,

Ager Bhool Gaye Ho , To Koi Baat Nahi,
Zakhm To Pehlay Bhi Is Dil Pe Laga Kertey They,

Main Wohe Hoon,Jisay Tum Pyaar Kia Kertey They,
Jee Main Aat hay Keh Aaaj Tumhain Terpa Doon,

Dard Jo Tumnay Diye Wo Sub Tum Ko Louta Doun,
Ger Bhool Gaye Ho To Ye Batla Doun

Tum Mujhay Hasil-E- Armaan kaha Kertey They,
Main Wohe Hoon ,,,Jisay Tum Pyaar Kia Kertey They

Tuesday, July 21, 2009

Mere liye Meri Duniya Ho Tum…

Mere liye Meri Duniya Ho Tum
Chu kar Jo Guzri woh Hawa Ho Tum..
Mein ne Jo Mangi woh Dua Ho Tum
Karey Mujh ko Jo Roshan woh Diya Ho Tum
Dil Yeh kahey Mera Jiya Ho tum.
Kiya Mein ney Mehsoos, woh Ehsaas Ho Tum
Mere Honto ki Pyaas Ho Tum
Mere baahon ki Aas ho tum.
Meri Nazar ki Talaash Ho Tum
Meri Zameen ka Akaash Ho Tum
Mere Chehrey ki Kashish Ho Tum.
Mere Sitaron Ki Gardish Ho Tum
Meri Zindagi ka Karaar Ho Tum
Mein ney Jo Chaha woh Pyaar Ho Tum.
Meray Intizaar ki Raahat Ho Tum
Mere dil ki chaahat Ho Tum
Tum ho To ye Duniya hai Meri.
Faslay Had Se Barh Jaey to Gum Milte Hien
ishi liye Hum Har Shaks Se Kam Milte Hien…

Monday, July 20, 2009

Kash Yeh Mohabbat Na Hoti…

Is jahaan mein kaash yeh mohabbat na hoti,
Shararat na hoti,Shikayat na hoti,
Naino mai kisi ke nazakat na hoti,
Na hoti bekrari,na hote hum tanha,
Agar jahan me kambhkat ye mohabbat na hoti!!!!
To safar-e-zindagi mein mithaas na hoti,
Agar milti bewafao ko saza mein maut to,
Deewano ki kabrein udaas na hoti..
Meri mohabbat ne unhe khushi de di,
Badle mein mujhe khamoshi de di,
Khuda se dua mangi thi marne ki,
Lekin Khuda ne bhi Jeena ke liye zindagi de di.

Dua kabool ho gayi…

Rehti to tum mere dil mein ho,
to phir main rat bhar jaagta kyon hoon,
sach to ye hai ki tum ek din chod dogi saath mera,
to phir is sachhai se main bhaagta kyon hoon,
par tumhari judaai ka dard main seh nahi sakta,
dikhana main chahta nahi aur main keh bhi nahi sakta,
agar mujhse juda hone ke baad bhi tumhari zindagi ek khilta hua phool ho gayi,
to samajh lena ki tumse juda hokar bhi tumhe
khush dekhne ki dua meri kabool ho gayi…….

to my love

Aye Mohabbat..

Aye Mohabbat tere anjam se rona aaya.
Jane kyun aaj tere naam se rona aya,

Yu to her sham umid me guzar jati hain.
Aaj kuch baatein yaad aayi to sham pe rona aya.

Kabhi taqdir, kabhi matam,kabhi duniya ka gila,
Manzil-e-ishq k har kaam pe rona aya.

Jab hua zamane me mohabat ka zikr.
Mujhe apne dil-e-nakaam pe rona aya…

Wo bewafa kaise hua.?


Khatam apni chahton ka silsila kaise hua
Tu to mujh mein jazab tha mujh se juda kaise hua
Wo jo sirf tere aur mere darmiyan ek baat thi
Aao sochein shehar us se aashna kaise hua
Chubh gayin seeney mein tooti khawahishon ki kirchiyan
Kya likhun dil tootney ka haadsa kasie hua
Jo rang-e-jaan tha kabhi milta hai ab rukh phair kar
Sochta hoon iss qadar wo bewafa kaise hua…

Tanha Tanha…

Chale to hum saath saath hi the
Na jaane konse modh per alag ho gaye,
Vaha tum kho gaye, yaha hum
Na jaane manzil kaise peeche chod gaye.

Tum saath the, to tha saath karvan
Abh tum paas nahi, viran hai mera jehan,
No woh mehfilen rahi, Raha no bagban
Lagta hai guzrangi jindagi apni abh tanha tanha!

Thursday, June 25, 2009

jhuthe vadein

jhuthe ye vadein,
jhuthi thi kasmein,
muzko nahi tha ye pata,
sach kah raha hoon,
ye bhi na janu,
muzse huyi ye kya khata,
man me milan ki aas lagi hai, hothon pe mere hai dua,
yaar kaise tuzko main bhulao,
jakhm dil ka kaise main dikhao,
ki jor mera ab chale na,
kya hai bebasi kya batao.

Fareb..

Ishq ka baaki imtihaan aaj bhi hai
dil par tera nishaan aaj bhi hai

tum toh bhool gaye jaake nai duniya me
tere liye koi preshaan aaj bhi hai

log bhoole hai jala tha kisi ka ghar yaha par
magar khandhar ka nishaan aaj bhi hai

jamane ka kya bigda jo lut gaya kisi ka jahan
jamana toh mutmaaeen aaj bhi hai

nibhaya hai tumne khoob wafa ka vaada
meri peeth pe khanzar ka nishaan aaj bhi hai

banaya tha jo tumne hamari kabr-e-ishq pe
wo mehel aalishaan aaj bhi hai

tumne jaani me apne, na kasar kuch rakkha
fir kyu atki hui meri jaan aaj bhi hai

tum toh kehte the k tum bhool gaye ho ranzish
fir kyu meri maut ka saamaan aaj bhi hai

Thursday, June 18, 2009

Dosti, Meri Aur Barish Ki

Is Barish Se Mujhe Pyar Hai Bohat,
Meri Tanhaiyon Ka Ise Abhaas Hai Bohat,
Jab-Jab Ye Barish Aayi Mujhse Milne,
Chehre Pe Ashq Hote Thhe Mere………,
Meri Tanhai Samajh Gayi Thhi Yeh,
Hamesha Saath Mere Roti Rahi Yeh,
Maine Kaha Tum Jao,Mujhe Akele Rehne Do,
Is Par Wo Boli,Mujhe Bhi Apne Saath Rone Do,
Phir Na Wo Kuch Boli,Na Main Kuch Boli,
Gumsum Roti Rahi Main Akeli………,
Jab Jab Wo Aati,Muhe Issi Haal Me Paati,
Main Bhi Usse Ankhe Na Thhi Mila Paati,
Aaj Phir Bohat Din Baad Ye Barish Aayi,
Aur Aaj Usne Mere Hothon Pe Hansi Payi,
Khush Ho Gayi…..Tej Baras Padi……….,
Mere Saath Woh Bhi Khilkhilakar Hans Padi,
Maine Poocha Tum Kyon Hans Rahi Ho Aaj,
Usne Kaha Meri Dost Jo Khush Hai Aaj….,
Phir Ansoo Jhalak Pade Meri Ankho Se,
Par Is Baar Khushiyon Ki Chamak Thhi In Ankho Me,
Phir Maine Use Sab Kuch Bataya,
Dil Ka Kissa Usko Sunaya………….,
Bohat Khush Hui Wo Sab Kuch Sun Kar,
Phir Chali Bhi Gayi Duayein De Kar,
Wada Liya Maine Usse Phir Jaldi Aane Ka,
Use Har Baat Dil Ki Batane Ka…..,
Phir Maine Socha Yahi To Hai Meri Saathi,
Mera Chehra Dekhkar Jo Hai Hansti-Roti.

Wednesday, June 17, 2009

TERE INTEZAAR ME

Ek uski ibadat, aur ek uska pyaar hai
Meri zindagi ka maksad, uska intezaar hai

Jo Poochi hai mujhse meri mohabbat ki inteha
Samjhiye har dhakan pe uska Ikhtiyaar hai

Dekhe jo koi cheerkar, kabhi seena bhi mera
Uss se hai jo Mohabbat, wo Beshumaar hai

Usse dekHne ki kHwahish kHwahish hi rahi
Deedar-e-lamhe ko betaab dil Ashqbaar hai

Choomne ki talab usse, mere labon se pooch
Usse chhoone ko Zaara zarra, Bekaraar hai

Gum-e-bebasi ke siwa aur diya bhi kya usse
Uski muskurahat aaj talak,,, mujhpar Udhaar hai

Fiza mein uski mehek, katre katre mein hai
Mera khuda pathhar nahin, mera yaar hai

Dar-ba-dar bhatakta, usse dhoondhta rehta hu
Woh yaheen hai,, yahin kaheen hai,,,, Aitbaar hai

Gum-e-Judaai lekar Jaane kya mila "Ehsaas"
Woh naheen hai. Kahin naheen hai.. fir bhi uska Intezaar hai

facebook