Thursday, June 18, 2009

Dosti, Meri Aur Barish Ki

Is Barish Se Mujhe Pyar Hai Bohat,
Meri Tanhaiyon Ka Ise Abhaas Hai Bohat,
Jab-Jab Ye Barish Aayi Mujhse Milne,
Chehre Pe Ashq Hote Thhe Mere………,
Meri Tanhai Samajh Gayi Thhi Yeh,
Hamesha Saath Mere Roti Rahi Yeh,
Maine Kaha Tum Jao,Mujhe Akele Rehne Do,
Is Par Wo Boli,Mujhe Bhi Apne Saath Rone Do,
Phir Na Wo Kuch Boli,Na Main Kuch Boli,
Gumsum Roti Rahi Main Akeli………,
Jab Jab Wo Aati,Muhe Issi Haal Me Paati,
Main Bhi Usse Ankhe Na Thhi Mila Paati,
Aaj Phir Bohat Din Baad Ye Barish Aayi,
Aur Aaj Usne Mere Hothon Pe Hansi Payi,
Khush Ho Gayi…..Tej Baras Padi……….,
Mere Saath Woh Bhi Khilkhilakar Hans Padi,
Maine Poocha Tum Kyon Hans Rahi Ho Aaj,
Usne Kaha Meri Dost Jo Khush Hai Aaj….,
Phir Ansoo Jhalak Pade Meri Ankho Se,
Par Is Baar Khushiyon Ki Chamak Thhi In Ankho Me,
Phir Maine Use Sab Kuch Bataya,
Dil Ka Kissa Usko Sunaya………….,
Bohat Khush Hui Wo Sab Kuch Sun Kar,
Phir Chali Bhi Gayi Duayein De Kar,
Wada Liya Maine Usse Phir Jaldi Aane Ka,
Use Har Baat Dil Ki Batane Ka…..,
Phir Maine Socha Yahi To Hai Meri Saathi,
Mera Chehra Dekhkar Jo Hai Hansti-Roti.

No comments:

Post a Comment

facebook