Ek uski ibadat, aur ek uska pyaar hai
Meri zindagi ka maksad, uska intezaar hai
Jo Poochi hai mujhse meri mohabbat ki inteha
Samjhiye har dhakan pe uska Ikhtiyaar hai
Dekhe jo koi cheerkar, kabhi seena bhi mera
Uss se hai jo Mohabbat, wo Beshumaar hai
Usse dekHne ki kHwahish kHwahish hi rahi
Deedar-e-lamhe ko betaab dil Ashqbaar hai
Choomne ki talab usse, mere labon se pooch
Usse chhoone ko Zaara zarra, Bekaraar hai
Gum-e-bebasi ke siwa aur diya bhi kya usse
Uski muskurahat aaj talak,,, mujhpar Udhaar hai
Fiza mein uski mehek, katre katre mein hai
Mera khuda pathhar nahin, mera yaar hai
Dar-ba-dar bhatakta, usse dhoondhta rehta hu
Woh yaheen hai,, yahin kaheen hai,,,, Aitbaar hai
Gum-e-Judaai lekar Jaane kya mila "Ehsaas"
Woh naheen hai. Kahin naheen hai.. fir bhi uska Intezaar hai
No comments:
Post a Comment