Thursday, June 25, 2009

jhuthe vadein

jhuthe ye vadein,
jhuthi thi kasmein,
muzko nahi tha ye pata,
sach kah raha hoon,
ye bhi na janu,
muzse huyi ye kya khata,
man me milan ki aas lagi hai, hothon pe mere hai dua,
yaar kaise tuzko main bhulao,
jakhm dil ka kaise main dikhao,
ki jor mera ab chale na,
kya hai bebasi kya batao.

Fareb..

Ishq ka baaki imtihaan aaj bhi hai
dil par tera nishaan aaj bhi hai

tum toh bhool gaye jaake nai duniya me
tere liye koi preshaan aaj bhi hai

log bhoole hai jala tha kisi ka ghar yaha par
magar khandhar ka nishaan aaj bhi hai

jamane ka kya bigda jo lut gaya kisi ka jahan
jamana toh mutmaaeen aaj bhi hai

nibhaya hai tumne khoob wafa ka vaada
meri peeth pe khanzar ka nishaan aaj bhi hai

banaya tha jo tumne hamari kabr-e-ishq pe
wo mehel aalishaan aaj bhi hai

tumne jaani me apne, na kasar kuch rakkha
fir kyu atki hui meri jaan aaj bhi hai

tum toh kehte the k tum bhool gaye ho ranzish
fir kyu meri maut ka saamaan aaj bhi hai

Thursday, June 18, 2009

Dosti, Meri Aur Barish Ki

Is Barish Se Mujhe Pyar Hai Bohat,
Meri Tanhaiyon Ka Ise Abhaas Hai Bohat,
Jab-Jab Ye Barish Aayi Mujhse Milne,
Chehre Pe Ashq Hote Thhe Mere………,
Meri Tanhai Samajh Gayi Thhi Yeh,
Hamesha Saath Mere Roti Rahi Yeh,
Maine Kaha Tum Jao,Mujhe Akele Rehne Do,
Is Par Wo Boli,Mujhe Bhi Apne Saath Rone Do,
Phir Na Wo Kuch Boli,Na Main Kuch Boli,
Gumsum Roti Rahi Main Akeli………,
Jab Jab Wo Aati,Muhe Issi Haal Me Paati,
Main Bhi Usse Ankhe Na Thhi Mila Paati,
Aaj Phir Bohat Din Baad Ye Barish Aayi,
Aur Aaj Usne Mere Hothon Pe Hansi Payi,
Khush Ho Gayi…..Tej Baras Padi……….,
Mere Saath Woh Bhi Khilkhilakar Hans Padi,
Maine Poocha Tum Kyon Hans Rahi Ho Aaj,
Usne Kaha Meri Dost Jo Khush Hai Aaj….,
Phir Ansoo Jhalak Pade Meri Ankho Se,
Par Is Baar Khushiyon Ki Chamak Thhi In Ankho Me,
Phir Maine Use Sab Kuch Bataya,
Dil Ka Kissa Usko Sunaya………….,
Bohat Khush Hui Wo Sab Kuch Sun Kar,
Phir Chali Bhi Gayi Duayein De Kar,
Wada Liya Maine Usse Phir Jaldi Aane Ka,
Use Har Baat Dil Ki Batane Ka…..,
Phir Maine Socha Yahi To Hai Meri Saathi,
Mera Chehra Dekhkar Jo Hai Hansti-Roti.

Wednesday, June 17, 2009

TERE INTEZAAR ME

Ek uski ibadat, aur ek uska pyaar hai
Meri zindagi ka maksad, uska intezaar hai

Jo Poochi hai mujhse meri mohabbat ki inteha
Samjhiye har dhakan pe uska Ikhtiyaar hai

Dekhe jo koi cheerkar, kabhi seena bhi mera
Uss se hai jo Mohabbat, wo Beshumaar hai

Usse dekHne ki kHwahish kHwahish hi rahi
Deedar-e-lamhe ko betaab dil Ashqbaar hai

Choomne ki talab usse, mere labon se pooch
Usse chhoone ko Zaara zarra, Bekaraar hai

Gum-e-bebasi ke siwa aur diya bhi kya usse
Uski muskurahat aaj talak,,, mujhpar Udhaar hai

Fiza mein uski mehek, katre katre mein hai
Mera khuda pathhar nahin, mera yaar hai

Dar-ba-dar bhatakta, usse dhoondhta rehta hu
Woh yaheen hai,, yahin kaheen hai,,,, Aitbaar hai

Gum-e-Judaai lekar Jaane kya mila "Ehsaas"
Woh naheen hai. Kahin naheen hai.. fir bhi uska Intezaar hai

facebook